Friday, February 3, 2017

Pav baji

Recipe.....
Ek cup matar
Ek cup boiled potato
Ek cup kati hui gobhi
Thodi c french beans
Ek cup shimla mirch
3 onion
4 tomato
Garlic paste ek spoon
Ginger paste ek spoon
2 green chili
Dhaniya barik kata huwa
Salt
Amchur powder
Butter
Ready made paav
MDH paav bhaji masala
Oil
Pahale sari vegetables ko dhokar barik kaatle
Or sabi vegetables ko steam karke achchhe se mash kar le
Ab ek kadahi me 2 badi kadchhi oil daale
Garam hone par onion daalkar bhun le
Fir ginger garlic paste daalkar bhune
Ab tomato , green chili , green dhanya kata huwa , 3salt , red chili powder n paav bhaaji masala , amchur daalkar achchhe se bhun le
Ab isme sari boiled mashed vegetables ko daalkar achchhe se mix kar le
Thoda sa pani ad karke achchha sa mix bana le
Or butter jitna chahe utna ad kare
Or readymade paav ko b butter k sath sek le
Ab garmagaram yummmy bhaaji k sath butter lage huye paav k sath khaye or khilaye ðŸ˜ŠðŸ˜ŠðŸ˜Š
Masale , oil , butter aap taste k according kam jada kar sakte hain ðŸ˜ŠðŸ˜ŠðŸ˜Š
Bachcho ko to bahut achchha laga ðŸ˜€ðŸ˜€ðŸ˜€
Hope u like it
meena ðŸ˜€ðŸ˜€ðŸ˜€

No comments:

Post a Comment